Saturday, September 18, 2010

Dedicated To Geetanjali

Aaj hum yahan hai
Kal kahan honge
yeh kisko pata hai
yeh kisne jaana hai

magar kal na kisi ke saath hai
naa kisi ke saath hoga
to kyun hum kal ki chinta main
aaj ko bhi udas karte hai

socho to mushkil hai
karo to bahut asan hai
khushiyon baato aur jitne baatoge
unse jayada khushi semat jayoge

dusro ko khush karke dekho
khudh bhi khush hona sheek jayoge :-)
zindagi udas rehne ke hazaar karan deti hai
magar khush hone lakho karan deti hai
to kyun hum hazaar karan hi dekhne
dekhna hai to khushi dekhoaur Zindagi ko jeet jao :-)

~~Written By:- Kratika Gour~~
Just written in 5 mins just now for my new friend
Always be happy dear :)

Jeevan Ke Sach

Jab Chhote Bache The,Khel Khela Karte The
Bheed Se Alag,Dosto Ke Saath Mast Raha Karte The
Na Duniya Ki Samaj,Na Jaamane Ka Daar Tha
Jahan Sirf Sharat Aur Masti Ka Aalam Tha
Jeevan Ke Rah Main Yeh Bhi Ek Sach Tha

Wo Pehle Pyaar Ka Anubhav Hona
Wo Jeevan Main Badalaaw Ka Eshaas Hona
Pyaar Ke Liye Hasna Pyaar Ke Liye Rona
Pyaar Ko Paana Aur Us Pyaar Ko Na Khona
Har Taraf Bas Pyaar Hi Pyaar Ka Hona
Jeevan Ka Yeh Bhi Ek Sacha Kona

Samay Ke Saath Sab Badal Sa Gaya Hai
Jeevan Ka Rukh Mud Sa Gaya Hai
Jahan The Hum Saath Aaj Hum Tanha Hai
Sabke Saath Hote Hue Bhi Kuch Ghum Sa Hai
Kyun Hai Yeh Tanhai Mann Main Yeh Sawal Sa Hai
Jeevan Ke Rah Ka Yeh Bhi EK Sach Sa Hai

Zindagi Main Humne Sabko Diya Pyaar Hai
Magar Humko Badle Main Mila Kya Hai
Sabpe Kiya Vishwas Hai,Wapas Mila Dard Hai
Jeevan Ki Is Rah Pe Chalte Chalte Liya Ek Sabak Hai
Khudh Se Jayada Kisi Se Pe Vishwas Na Kar
Aur Khudh Se Jayada Kisi Se Pyaar Na Kar
Jeevan Ka Yeh Sabse Bada Sach Hai
Isko Saath Lekar Apna Jeevan Jeeya Kar