Tuesday, June 15, 2010

Moosam Ki Pehli Varsha

Moosam Badla Samay Badla Badal Ne Leli Angdayi
Hua Andera Suraj Chupa Mann Main Masti Chayi
Angaan Main Baithe Baithe Mann Se Meri Hui Ladai
Maine Soch Kyun Yeh Mann Main Masti Chayi
Kyun Moosam Ne Ek Dum Halchal Machayi
Mann Jat Se Bol Pada Moosam Ki Pehli Varsha Aayi

Jaane Kya Baat Hoti Hai, Mann Main Ek Khushi Hoti Hai
Suraj Aur Badal Main Kuch Lukha Chuphi Hoti Hai
Hawa Chalti hai Aur Uske Saath Badal Main Aapas Main Baat Hoti Hai
Aur Phir Ek Dum Se Hawa Main Thandak Mehsus Hoti Hai
Aur Pani Ki Kuch Boonde Mere Cheere Ko Bheegi Deti Hai
Aur Issi Ke Saath Moosam Ki Pehli Varsha Ki Shuruwat Hoti Hai

Aur Aaj Phir Jaam Kar Barsa Badal Hai
Sukhi Meetti Ne Geela Pan Mehsus Kiya Hai
Meetti Se Aayi Bheni Bheni Khusboo Hai
Moor Kahin Na Kahin Naacha Hai
Mera Mann Bahut Khush Hua Hai
Tann Ne Ek Tajgi Mehsus Ki Hai
Mujhe Aaj Phir Baccha Ban Na Hai
Is Moosam Main Bheegna Hai
Aur Khushi Ke Is Pal Ko Jeena Hai
Kyunki Aaj Moosam Ki Pehli Varsha Hui Hai
Kyunki Aaj Moosam Ki Pehli Varsha Hui Hai


Written By:- Kratika Gour
Don’t Laugh plz thodi baccho jaisi ho gayi [:P]

No comments:

Post a Comment