Saturday, June 5, 2010

Tanhai

Aaj Main Phir Aapne Sapne Main Kahin Ghum Hun
Aaj Phir Main Is Duniya Ki Bheed Main Tanha Hun
Magar Aaj Yeh Tanhai Mujhe Acchi Lagne Lagi Hai
KyunKi Jaane Anjaane Hi Sahi Yeh Mujhe Naye Safar Pe Le Aayi Hai
Jahan Main Tanha Sahi Magar Khush Hun
Jahan Main Akele Hi Jeeye Ja Rahi Hun

Jeevan Ki Saari Khushiyon Sabke Saath Ho Jaruri Nahi
Tum Akele Humesha Dhukhi Raho Yeh Jaruri Nahi,
Tanhai Bhi Hume Sukun Deti Hai Jeevan Ke Rang Badal Deti Hai
Yeh Rang Wo Rang Hote Hai Jo Sabke Saath Berang Lagte Hai
Hume Jeevan Ke Kafi Raste Tanha Hi Teh Karne Hote Hai
Jinhe Hume Humesha Khushi Khushi Teh Karne Hote Hai

Jab Hum Is Duniya Main Aaye The Tab Bhi Tanha The
Jab Is Duniya Se Jayenge Tab Bhi Taha Hi Honge,
Phir Kyun Log Tanhai Se Darte Hai
Kyun Log Tanhai Main Jeevan Nahi Jeete Hai
Jabki Aadhi Se Jayada Zindagi Log Tanhai Main Jee Jate Hai

Kabhi Soch Kar Dekho Tanhai Se Accha Dost Kahan
Kabhi Soch Kar Dekho Tanhai Se Pyaare Pyaar Kahan
Jeevan Main Log Aayenge Aur Jaayenge
Magar Jo Tumhara Saath Humesha Degi Wo Hai Tanhai
Duniya Main Agar Insaan Ne Tanha Jeena Seekh Liya To
Wo Duniya Ka Sabse Khush Nasib Insaan Hoga
Kyunki Jeevan Ki Jeet Tanhai Se Hai Bheed Se Nahi

Jeet Li Hai Maine Duniya Saari Kyunki Tanhai Mujko Lagti Hai Pyari
Main Nahi Tanha Main Nahi Bechari Main Hu Duniya Ki Sabse Dulari
Kyunki Mujhe Na Koi Dhukh Hoga Mujhe Na Koi Gum Hoga
Kyunki Tanha Rehkar Hi Khushi Khushi Jeevan Jeena Hoga
Kyunki Yeh Tanhai Aur Yeh Tanha Safar Humesha Mere Sang Hoga
Mera Dost, Mera Humsafar Meri Saheli Meri Pyari Tanhai
Meri Saheli Meri Pyari Tanhai
.
.
Written By:-Kratika Gour

No comments:

Post a Comment