Friday, August 27, 2010

Zindagi Ke Kuch Meethe Pal

Duniya Main Jab Koi Bacha Janam Leta Hai
Wo Pata Nahi Kab Sota Hai Kab Jagta Hai
Kuch Bolta Hai Kuch Ghun Ghunata Hai
Par Sada Hi Muskurata Rehta Hai
Kabhi Idhar To Kabhi Udhar Ghoomta Hai
Na Duniya Ki Samaj Na Ghum Ki Samaj Hai
Isliye Shayad Humesha Muskurata Rehta Hai
Uske Zindagi Ke Wo The Kuch Meethe Pal

Aaj Haath Main Kitab Liye Chal Pada Wo Nayi Rah Pe
Jahan Dost Hai Dosti Hai Aur Hai Ek Naya Safar Us Rah Pe
Ma Ka Subhe Uthana Hai
Roj Subhe Uth Ka School Jana Hai
Homework Ki Chinta Hai
Aur Yaaron Ka Saath Hai
Aur Ussi Main Jeevan Ki Khushi Hai
Duniya Ki Buriyon Se Dur Wo Humara Bachpan Hai
Aur Zindagi Ke Kuch Meethe Pal Hai

Badal Gaya Sab Kuch
Dost Badle Dosti Badli
Badli Hai Duniya Sari
Jahan thi Kushiyon Wahan Aayi Hai Kuch Zimedari Hai
Dosti Main Aayi Aur Gehrai hai
Dil Main Bachpan Ki Dosti Ne Li Angadyi Hai
Un Yaadon Ke Sahare Chal Pada Hai Jeevan Ko Naya Rang Dene
Aur Duniya Main Kuch Kar Dekhane
Apne Liye Zindagi Se Kuch Meethe Pal Churane

Kab Hue Bade Pata Na Chala
School Se Pauche College Pata Na Chala
College Se Pauche Naukri Karne Pata Na Chala
Sab Kuch Hai Naya Naya Par Phir Bhi Kuch Hai Adhura
Par Kya Hai Wo Adhura Pan Pata Na Chala
Jeevan Main Kitna Khoya Kitna Paya Pata Na Chala
Aur Phir Zindagi Main Kuch Meethe Pal Chura Na Paya

Zindagi Char Lamho Main Simat Jati Hai
Aaj Khusiyon To Kal Gum De Jati Hai
Kuch Kar Sako To Bas Itna Karna Mere Dost
Zindagi Se Jitne Jayada Meethe Pal Chura Sako Chura Lena Mere Dost
Pal Chura Lena Mere Dost

No comments:

Post a Comment