Tuesday, February 16, 2010

Shayari

1.Aaj dil ne ek gujarish ki us benaam rishte
Ko naam dene ki chahat jahir ki
Magar yeh nadaan dil nahi jaanta
Jo mumkin nahi wo kyun hai chahata
Hum samjha lenge aapne is dil ko
Aur keh denge ki tere liye nahi hai wo farishta
Tu koshish na kar us rishte ko koi naam dene ki
Warna jo kuch hai tere paas wo bhi chhot kar chala jayega
Aur tu phir is badi si duniya main tanha reh jayega

2.zaamena ki bhed main hum tanha reh gaye
jisko chaha uske kabhi na ho sake
ab kahan jaye yeh sochte hai
kya kare yeh sochte hai
tanha raha na jaye aur kisi ka saath bhi na bhaye
yahan aakar kuch pal beeta lete hai
aur aapne dil ko thoda behla lete hai

3.Tanhai se ab humne dar nahi lagta hai
ab to akele rahna bhi accha lagta hai
khash hum bhi kisi ko aapna keh pate
yeh kehna ka ab dil nahi karta hai
kyunki kisi ke saath agar dard se
to akele rehna jayada accha hota hai

2 comments: