Friday, February 19, 2010

Pyaar Ka Nazrana

Pyar Ka Ishaar Hua Ankhon Ankhon Main Ikraar Hua
Dil Hi Dil Main Baat Hui Nayi Kahani Ki Shuruwat Hui
Pyar Main Logo Ko Nazrana Dene Ki Aadat hoti Hai
Unhe To Bas Mauka Ki Talaash hoti Hai
Nazrana Dene Ki Aadat Jo Hoti Hai
Yeh Bhi Ek Tareeka Hai Dil Ki Baat Batana Ka

Kabhi Gulab Ke Phool Tha Kabhi Rumaal Tha
Kabhi Koi Tasveer Thi To Kabhi Koi Kimti Cheej Thi
Maano To Sab Anmol Hai Na Maano To Bekar Hai
Premi Ke Liye To Ek Gulab Bhi Anmol Hota Hai
Agar Wo Prem Se Usko Diya Gaya Hota Hai

Par Sach Yeh Nahi Hota Hai Yeh To Sirf Ek Kalpana Hai
Nazrana Kho Sakta Hai Tut Sakta hai
Shayad Samay Ke Saath Nazrana Dhul Mein Mil Sakta Hai
Par Kabhi Na Mitne Wale Nazrane Bhi Hote hai
Premi Ke Liye Prem Se Bitaye Hue Char Pal Hote Hai

Us Char Pal Main Usko Aisa Lagta Hai
Jaise Duniya Ki Saari Khusiyon Mil Gayi Hai
Aur Wohi Char Pal Sabse Acche Aur Anmol Nazrana Hota Hai
Us Nazrane Ko Wo Yaadon Ke Saath Basaye Rakhte Hai
.
.
Written By: Kratika Gour

No comments:

Post a Comment