Friday, February 11, 2011

Shayeri

Na shabdo se khelna aata hai
Na jasbaat bayaan karna aata ha
dil se dil tak ka rasta pata hai
bharose aur pyaar se jata hai
pyaar itna karenge jo kabhi kam na ho
Bharosa humesha rakhna dhukhi na hona
aaj wade ka din hai
dil se diya wada hai
saath tera humesha diya hai
aage bhi denge :)

---------------------------------

Zindagi tu har rang ki talash kar
Har rang main uski talash kar
Tu door hi sahi
Tere paas hone ka ehsaas hi sahi
Tere khayal hi sahi
Gum bhi tere saath ho
Khushi bhi tere saath ho
Jab aap jaisa ek humsafar saath ho..

------------------------------------------

Kabhi kabhi aapne pyaar ko jatana padta hai
pyaar hai ya nahi dekhna padta hai
yeh pyaar dekhawa nahi hai
koi chalawa nahi hai
yeh to jevaan ka ek sach hai
jo eshaah se aur vishwas se dekhaya jata hai
bahut khush hote hai wo log
jo yeh pyaar ko dekh pate hai :)

----------------------------------

Raat ko jagna wo taaron ko dekhna
tera haath thaam kar chaand ko dekhna
wo tere saath betiya har pal yaad hai mujhe
wo yaadein wo baatein yaad hai mujhe
yeh sach hai ya sapna yeh maine na jaana
mere jeevan ka sabse hasin pal hai yeh :)


Written by:-Kratika Gour

No comments:

Post a Comment