Friday, August 27, 2010

Ladki Ka Suhana Safar

Kisko Chaha, Kisko Paaya Jeevan Ka Yeh Sach Kisi Ko Bata Na Paya,
Aaj Bhi Hai Mann Main Kuch Sapne Phir Bhi Unko Jee Na Paya,
Sabke Saath Hote Hue Khudh Ko Maine Akela Hi Paya,
Aur Apne Akelepan Main Khudh Ko Shurakshit Paya,
Shayad Yehi Hai Jeevan Ki Koi Moh Maya,
Aur Is Moh Maya Ko Koi Samaj Nahi Paya…

Maine Bhi Dekhe Kuch Sapne The
Jeevan Ke Sang Wo Bhi Mere Aapne The
Ajnabiyon Ki Bheed Mein Thi Main Ek Anjani
Aur Is Duniya Ki Gehrai Se Thi Main Begani
Phir Bhi Mann Khush Tha Kyunki Mera Dil Mera Tha
Mere Sapne Mere Apne The Aur Unka Ek Rasta Tha
Mere Dil Ne Gaaye Kuch Geet The
Wo Geet Ke Aapne Hi Sur Taal The

Zindagi Ne Badle Apne Rang Hai
Umar Ki Is Dor Main Mere Aapne Mere Sang Hai
Phir Bhi Kuch Adhurapan Zindagi Main Hai
Aur Mere Mann Main Kuch Khalipan Sa Hai
Aur Is Dil Ko Kisi Ki Jarurat Si Hai
Jo Ki Dil Ke Liye Bahut Khas Sa Hai
Abhi To Wo Sirf Mere Sapne Main Hai
Haqiqat Main Jiske Aane Ka Intezar Sa Hai

Kuch Anjana Sa Phir Bhi Apna Sa Ho
Thoda Begana,Magar Phir Bhi Mera Ho
Kuch Haqiqat Kuch Sapna Sa Ho
Thoda Alag Thoda Mere Jaisa Ho
Ek Aam Insaan Ho Magar Phir Bhi Kuch Khas Sa Ho
Juban Ki Jarurat Na Ho Ankhon Se Hi Baat Ho
Dur Hokar Ke Bhi Paas Hone Ka Eshaah Sa Ho
Hum Dono Main Aisa Ek Khas Rishta Sa Ho
Mera Aisa Hum Safar Ho.........
Mera Aisa Hum Safar Ho……..

1 comment:

  1. i am always looking for some free stuffs over the internet. there are also some companies which gives free samples.
    Unquie Gifts

    ReplyDelete