Thursday, May 20, 2010

Anjaan Dost

.
.
Na Jaana Us Anjabi Ko
Na Pehchana Us Anjane Ko
Phir Bhi Bahut Kareeb Paya Us Dost Ko
Kab Mulakat Hui, Wo Yaad Na Tha
Par Kuch Kuch Baaton Ka Eshaas Tha
Janti Hu Bahut Kuch Phir Bhi Anjaan Hu
Vishwas Karti Hu Us Par Magar Darti Bhi Hu
.
Baaton Baaton Main Humne Jaana Hai
Kya Apna Hai Kya Begana Hai
Kya Accha Hai Kya Bura Hai
Karte Hai Ek Dusre Ki Parvah Hum Jante Hai
Magar Phir Bhi Kuch Baaton Se Anjaan Hai
Ya Yeh Kahu Ki Jaan Kar Anjaan Ban Rahe Hai Hum
Shayad Kuch Baatein Kabhi Nahi Boli Jati Hai
Wo Baatein Bina Kahe Hi Samjhi Jati Hai
Shayad Dosti Issi Ka Naam Hai
Jahan Baaton Ko Kehne Ke Liye Shabdo Ki Jarurat Nahi Hoti Hai
.
Mila Hai Mujhe Bhi Ek Aisa Hi Dost
Jo Bahut Kareeb Hai Mere
Maine Mana Hai Usko Mera Saccha Dost
Shukh Dhukh Main Saath Deta Hai Mera Dost
Magar Saath To Zingadi Ne Bhi Na Diya Hai
To Main Kaise Kisi Se Umeed Karu
Chahe Wo Dost Ho Ya Zindagi
Aaj Wo Mere Saath Hai Dost Ban Kar
Kal Wo Mere Saath Hoga Yaad Ban Kar
Magar Dosti Humesha Rahegi Kisi Na Kisi Roop Main

Par Kyun Aaj Dil Na Ek Sawal Kiya Hai
Kya Wo Itna Kareeb Hai Jitna Maine Paya Hai
Ya Abhi Bhi Anjaan Hai Mere Liye Wo
Jawab Bhi Aaya Hai Mere Dil Se Hi
“Ki Wo Paas Hokar Bhi Ek Anjana Dost Hi Hai
Jisko Tu Jaanti Hai Phir Bhi Tere Liye Ek Anjabi Hai
Kyunki Teri Mulakat Us Se Abhi Baki Hai”
Yeh Nahi Janti Hu Ki Main Mil Payungi Kabhi Us Se
Ya Meri Dosti Yahan Tak Hi Simat Kar Reh Jayegi Us Se
Aur Mere Mann Main Ek Hi Tammana Hai
Ki Ek Baar Mulakat Ho Meri Us Anjabi Dost Se
Aur Yeh Dost Mera Humesha Mere Saath Rahe
Aur Yeh Dosti Humari Zindagi Bhar Rahe


~~Written By:-Kratika Gour~~
Feeling Of A Net friend for one of his/her Net friend..Who Never met in there life but still they are best friends forever[:)]

No comments:

Post a Comment