Saturday, April 10, 2010

Dosti

.
.
.
Dosti Kya Hai?
Mano To Ek Ek Anmol Rishta Hai
Na Mano To Kewal Ek Sabhd Hai
Jeevan Main Kafi Rishte Hote Hai
Jo Har Mod Par Badal Jate Hai
Nahi Badalta Hai To Dosti Ka Rishta Hai
.
Jab Chote The Jinke Saath Khele The
Unko Hi Aapna Saccha Dost Mana Tha
Wo Dosti Kuch Alag Thi Wo Pal Kuch Alag Tha
Na Baaton ka Dhayan Tha,Na Zindagi Ki Samjh Thi
Aur Samaj Thi To Bas Khel Khelne Ki Samaj Thi
.
Samay Gujar Gaya Dost Badalte Gaye
Reh Gayi To Bachpan Ki Dhundli Yaadain
Aur Hum Na Jane Kab Bade Ho Gaye
Ab Padai Ki Chinta Satati Thi
Aage Kya Karna Hai,Wo Soch Kar Gabrate Tha,
Par Phir Bhi Dosto Ke Saath Ke Saath Pal Gujar Jate The
.
Phir Kuch Samay Baad Eshas Hua Wo Pal Bhi Peeche Chut Gaye
Aur Yaadon Ki Gehrai Main Na Jane Kab Doob Se Gaye
Ab Dosti Classroom se Cateen Tak Pauch Gayi Thi
Aur Wo Dosto Wali MAsti Aur Badh Gayi Thi
Kuch NA Badla To Tha Ek Rishta Jo Tha Dosti Ka Rishta
.
Samay Ne Phir Karwat Li Thi
Aur Ab To Sirf Yaadon Ki Lehar Thi
Pehle Jaisi Koi Baat Na Thi
Pehle Jaise Dosti Na Thi
Ab Dosti SMS,Mail Chat Main Semat Gayi Thi
Samay Ki Kami Se Milna a Ho Pata Tha
Milne Ke Liye Koi Bahana Na Mil Pata tha
Magar Dil Main Har Jagah Dosti Barkaar Thi
.
Ek Din Aaya Jeevan Main Sab Kuch Badal Diya
Baghwan Ne Humse Humara Dost Cheen Liya
Phir Reh Gaye Hum Is Duniya Main Akele
Jab Humne Janam Liya Tha Tab Bhi The Akele
Aaj Sochte Hai Kitne Acche The Wo Pal
Kyun Aa Gaye Hum Is Samjhdhari Ki Duniya Main
Hum To Wahan Hi Khush The Bachon Ki Duniya Main
Par Hum Kuch Nahi Kar Sakte Hai
Kyunki Chalna Hi To Jeevan Hai
Hum Bhi Dil Main Dosti Ki Yaad Liye Chalte Rahenge

3 comments:

  1. Nicely described important aspect of life ie friendship. Little emotional to me especially the last paragraph....

    ReplyDelete
  2. Sonu thanks :)

    Shubham
    thanks a lot

    ReplyDelete